Voter ID Card Correction Kaise Kare – Online & Offline Guide 2025

Quick & Easy: Voter Card Correction Ghar Baithe in 2025

Quick & Easy: Voter Card Correction Ghar Baithe in 2025

Quick & Easy: Voter Card Correction Ghar Baithe in 2025

Voter card online correction process

Janiye Ghar Baithe Quick & Easy:  Quick & Easy: Voter Card Correction Kaise Kare 2025

Voter ID Card Correction Kaise Kare

India me har nagrik ke liye Voter ID Card ek bahut hi important identity document hai. Lekin kai baar isme galti ho jaati hai – jaise naam me spelling mistake, address galat, ya date of birth me problem. Aise me log sochte hain ki “Voter ID card correction kaise karein?”

Is detailed guide me hum aapko batayenge ki aap kaise online aur offline dono tariko se Voter ID me correction karwa sakte hain. Process simple hai, bas aapko sahi steps follow karne hain.

Table of Contents

Voter ID Card Correction

  1. Voter ID Correction ke Liye Documents
  2. Online Voter ID Correction Kaise Kare
  3. Mobile Se Voter ID Me Correction Kaise Kare
  4. Offline Voter ID Correction Process
  5. Form 8 Kya Hota Hai?
  6. Status Kaise Check Kare
  7. Common Mistakes Aur Tips
  8. FAQs

1. Voter ID Correction ke Liye Documents

Correction ke liye aapko kuch basic supporting documents ki zarurat padegi. Ye documents galti ke type ke hisaab se alag ho sakte hain:

  • Name correction: Aadhaar card, PAN card, Passport, 10th/12th certificate
  • Date of birth: Birth certificate, school certificate, passport
  • Address change: Electricity bill, water bill, rent agreement, ration card

2. Online Voter ID Correction Kaise Kare

Online process use karne ke liye aapko National Voters’ Services Portal (NVSP) ya Voter Portal ka use karna hoga.

Step-by-Step Process:

  1. Visit karein: https://voters.eci.gov.in/
  2. Login ya Register karein apne mobile number/email se
  3. Dashboard me “Correction in Voter ID” option choose karein
  4. Form 8 ko fill karein
  5. Galat information ko sahi karein aur documents upload karein
  6. Submit karne ke baad aapko Reference ID mil jaayega

Note:

Correction request ke baad aapko physical verification ya BLO visit ka bhi wait karna pad sakta hai.

3. Mobile Se Voter ID Correction Kaise Kare

ECI ne ek mobile app bhi launch kiya hai – Voter Helpline App

Steps:

  1. Play Store/Apple Store se “Voter Helpline” app download karein
  2. Login karein aur Form 8 choose karein
  3. Details fill karein + Documents upload karein
  4. Submit karke reference number note kar lein

4. Offline Voter ID Correction Process

Agar aap online nahi karna chahte, to aap offline form fill kar ke bhi apply kar sakte hain.

Process:

  1. Form 8 download karein ya Election Office se lein
  2. Sahi details fill karein + documents attach karein
  3. Nearest Booth Level Officer (BLO) ya Electoral Registration Office me submit karein

5. Form 8 Kya Hota Hai?

Form 8 ek official form hai jiska use Voter ID correction ke liye hota hai. Is form me aapko batana hota hai ki kya correct karwana hai aur kyun.

Important Fields:

  • Part number & Serial number (jo Voter ID par hota hai)
  • Jo details galat hain, wo aur unka proof
  • Contact details for communication