Bina ATM Card PhonePe Kaise Banaye –ippb easy Guide 2026

बहुत लोग PhonePe इस्तेमाल करना चाहते हैं लेकिन उनके पास
ATM/Debit Card नहीं होता।
अगर आपका खाता IPPB (India Post Payments Bank) में है, तो आप बिना ATM कार्ड के भी आसानी से
PhonePe account बना सकते हैं।
इस गाइड में आप जानेंगे:
- IPPB app download aur registration
- Agar card nahi hai to CIF number aur account number kaise nikalein
- IPPB login aur Virtual Debit Card ka use
- PhonePe me bank account add karna
- Aadhaar OTP se UPI PIN set karna
- ₹1 bhejkar PhonePe puri tarah active karna
1. IPPB App (DakPay) Download & Registration
Play Store/App Store me jaakar DakPay by IPPB app download karein।
App open karke “New User Registration” option select karein।
Registered mobile number dalen aur Aadhaar verify karein।
Registration complete hone ke baad app login ke liye ready ho jaayega।
2. CIF Number Aur Account Number Kaise Nikale (Agar Card Nahi Hai)
✔ SMS Banking
Type karein: GETCIF DDMMYYYY
(Example: GETCIF 01011990
) aur bhejein 7738062873 par।
Turant SMS se aapko CIF Number mil jaayega।
✔ DakPay App
App login karke Profile / Account Details section me jaayein – wahan par aapko
Account Number aur CIF Number dono mil jaayenge।
✔ Welcome Kit / QR Card
IPPB account open karte waqt mila Welcome Kit ya QR Card check karein।
✔ Passbook / Chequebook
Passbook ke first page par CIF aur Account Number dono likhe hote hain।
✔ Customer Care
Call karein 155299 ya 1800-180-7980 par aur Aadhaar + registered mobile verify karke CIF number le sakte hain।
✔ Nearest Branch
Agar details online nahi mil rahi to nearest IPPB branch visit karein – turant details mil jaayenge।
3. IPPB Login & Virtual Debit Card
Ipbp app me login karein Apna CIF Number or Account Dal Kar Login Karle
Apka Ipbp App Open huva Dikhe
Screen Kuch Aisa Dikhega

Ab aapne Rupay DebitCard ko Select karna hai
Virtual Rupay Card ko unlock kare Apne login Pin Dal ke virtual debit card unblock kare Apka Virtual Debit card Unblock ho jayega
(mobile + MPIN) → Services → Virtual Debit Card generate karein।
OTP verify karte hi card turant active ho jaata hai। Agar block ho jaye to app me “Unblock Card” option milta hai।
4. PhonePe App Download & Setup
[👉 Official Link se PhonePe Download karein]
Install karke apna registered mobile number dalen aur OTP verify karein।
My Money → Bank Account → Bank select karein → PhonePe automatically account detect karega।
5. UPI PIN Kaise Set Kare ipbp
Without ATM Card aap Aadhaar OTP ke through bhi UPI PIN bana sakte hain:
- “Set UPI PIN” option select karein
- Aadhaar card ke first 6 digits enter karein
- Do OTP milenge (Bank + UIDAI)
- Verify karke apna UPI PIN bana lein
6. PhonePe Account Active Kaise Kare
Setup complete hone ke baad kisi dost ko ₹1 bhejkar ek test transaction karein।
Jaise hi transaction successful hota hai, aapka PhonePe account puri tarah active ho jaata hai।
FAQ – Common Questions
❓ Kya bina ATM card ke PhonePe chal sakta hai?
👉 Haan, Aadhaar OTP + Virtual Debit Card ke through UPI PIN set karke chal sakta hai।
❓ Virtual Debit Card kitne time me active hota hai?
👉 Turant generate hone ke baad active ho jaata hai।
❓ Agar CIF number bhool gaya to kaise milega?
👉 SMS (GETCIF
), DakPay app, Passbook, ya Customer Care ke through turant le sakte hain।
Aap humara dusra article Bhi Padh sakte hai
Google pay kaise Banaye:-
Without ATM Card Phonepe Kaise Banaye
Conclusion
Ab aapko clear ho gaya ki IPPB se bina ATM card PhonePe account kaise banaye।
Bas steps yaad rakhein: DakPay app, CIF aur Account number nikalna, Virtual Debit Card generate karna, PhonePe me bank add karna, Aadhaar OTP se UPI PIN set karna aur ₹1 bhejkar account active karna।
👉 Abhi PhonePe Download Karein
Bena ATM ke phone pe kase saru kare
Ippb account hai to ippb app download kar dekhe ya ippb nhi hai to addhar se process kaise kare yeh ap humara article padh k kare ya video hai wo dekh kar akre